Youtube ke Basic Sabalo ki Basic Jaankari
YouTube – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 8 months ago
Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!
Hello Friend, Youtube ko ki ek Video Shareing Site hai jo February 14, 2005 ko launch hui thi, jisko baad me Google se connect karliya. is Post me ham ussi ki kuch options ki baat karege.
agar aap Youtube use karte hai ya karne ki soch rahe hai ya fir aap youtube paise kamane ke liye use karte hai to ye jaankari aapke liye jaruri bhi hai.
To Chaliye jaante hai Youtube Me use hone wale Sabdo ke bare me or kya matlab hai unka, kya istmal hai unka –
Youtube Channel Kya hoti hai
Youtube par jo hamara acount hota hai, jisme ham video upload karte hai usko Channel bhi khate hai. Jese Hindi Me Help ki ye Channel Hai
Subscribe Kya hota hai, or iska Kya Faida hai
Ham youtube par kisi channel par new video ki jaankari ke liye subscribe karte hai.. Subscribe karne ke baad hamare youtube ke account ke subscriptions me new video aa jate hai jinko hamne subscribe kiya hai or Hamare email par bhi pata chal jada hai..Job koi kisi channel ko Subscribe karta hai to wo subscriber khalata hai.
Channel Trailer kya hota hai
Ye hamari Channel ka hi ek video rhata hai jisko ham apne channel ke home page me set karte hai. jab koi hamari channel ko kholta hai jisne subscribe nahi kiya hai to wo video apne aap play hone lagta hai. ham is video me apne channel ke bare me batate hai taki wo subscribe karle.
youtube par video kaise upload karte hai Mobile se
Monetize ka kya matlab hai or isko kaise karte hai
Youtube par jo video upload kiye jata hai to uske jariye paies kamane ke liye uspar ads dikhana padta hai, usko monetize khate hai, or is process ko monetization khate hai. Kaise Apne video ko monetize kare uski jaankari yaha hai
Thumbnails kya hoti hai
jo video rhata hai, usko play karne ke phele jo image hame dikhti hai wo Thumbnail hoti hai.
PlayList kya hoti hai
youtube par ek se jada video ek group me rhate hai usko playlist khate hai. Playlist me ek video khatam hone ke baad dusra video apne aap start ho jata hai.
Youtube par video kaise upload karte hai Computer se
Annotations kya hai or inka kya istmal hai
Ye Youtube ka ek future hai isme ham video ke upar link add kar sakte hai. Fir jab koi hamare video ko dekhta hai to us button par click karke bo us link par ja sakta hai.. Ham Subscribe button bhi add kar sakte hai Annotation se madad se.
Youtube Cards kya hai or inka kya istmal hai
Ye future youtube me Annotation mobile me nahi dikhte isliye add kiya hai.. isme bhi ham Link add kar sate hai jo mobile me bhi dikhti hai.
Subtitles and CC kya hai or kya faida hai iska
– Video ke andar agar koi bil raha hai to uska likha huaa bhi aata hai video me usko khate hai subtitles ya CC. YE sabse jada jab kaam aata hai, jese koi video kisi dusr bhasa me ho or aapko wo nahi aati to aap CC ki madad se jaan sakte ho ki wo kya bol raha hai, CC ko translate bhi kar sakte hai.
Jane: Youtube se Video ko kaise Download karte hai
Friends ye kuch Common chij hai jo youtube par istmal me aati hai, inke aalawa bhi bhut si chije hai, jinke bare me me aaye bataoga.. agar aap kisi or chij ke bare me jaanna chata hai youtube me to Comment kare.. me usko post me bhi add karuga.
Thanks
The post Youtube ke Basic Sabalo ki Basic Jaankari appeared first on Hindi Me Help.
Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com
ConversionConversion EmoticonEmoticon