Tips Blogger Blog ki Security Badane ke liye

Tips Blogger Blog ki Security Badane ke liye

Blogger – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 6 months ago

Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!

Hello Friends agar aap mere regular visitor hai to aap jante hi hoge ki mene blogger par kitni post dali hai jo aapwww.HMH.pe/Blogger par dekh sakte hai.

Blogger jo Google ki service hai to aese hi hamara Blog ki Security to jada hogi hi, Q ki Google ne saaf kha rakha hai ki agar koi bhi khami nikalta hai Google ke kisi Product me to usko $100 se $20,000 ka iman diye jayege.. Matlab ham ye kha sakte hai ki hamara blog aasani se hack nahi ho sakta.

Par Ham is baat ko bhi inkar nahi kar sakte ki Internet par kuch bhi secure nahi hai, yaha tak ki Bank ki sites bhi.. Har roj 1000ro sites hack hoti hai.. to hame bhi jitni ho sake sabdani rakhni chaiye.

Blogger Blog ne abhi ek Future add kiya hai jisme ham apne blog ko HTTPSenable kar sakte hai. Isse koi bhi hamare blog ka data change nahi kar sakta or jo hamne share kiya hai wo hi hamare visitor ko dikhega. Agar aap Blogspot extension use karte hai or aapne abhi tak HTTPS ko enable nahi kiya to aapko abhi karna chaiye. Kaise kare HTTPS ko Enable ye janne ke liye yaha click kare.

Jarur Pade: Facebook Account Hack Hone se Kaise Bachaye

Blogger Blog ko Hack hone se kaise Bachaye

jesa ki me phele hi kha chuka hi ki Blogger ho hack karna bhut muskil hai, par kuch tips me aapko duga jisse aap apne blog ki security or jada bada sakte ho. Agar kisi ka blog hack hota hai to wo uski galti se hio hoga..

Blog ka EMail kisi ko na bataye:

Aapka jo Google Gmail Ki ID hai jisse aapne apna blog banaya hai wo aap kisi ko na bataye or apni email ID ko Blog ke naam se alag rakhe.. Bhut se log ye galiti karte hai ki wo jis email ID se Blog banate hai us ID ko wo sabko bata dete hai to isse hota ye hai ki agar kisi ne aapki GMail ID Hack karli to wo aapke blog ka Malik ban jayega.. Matlab aapka Blog bhi hack. Email ID ha address Blog ke naam se alag rakhe nahi to naa batane ka koi matlab hi nahi banta.

Apne Visitor se Contact karne ke liye ek agal Email ID banaye or usko Blog me na kare. apne Visitor ko ye email id de aapse sampark karne ke liye. Issi Emal ID ko Contact Us page me dale.

Read: Google Plus Page Kaise Banaye apne Blog ke liye

2 Step Virification Enable karke rekhe apne Account ka:

Google ke account me ham 2 step verification chalu kar sakte hai isme hame password dalne ke baad hamare mobile par aaya huaa code bhi dalna padta hai, jisse hamare account ki security double ho jati hai.. Agar kisi ko hamari Email ID or Password pata chal bhi jaye to bhi wo account open nahi kar sakta q ki usko code bhi chaiye jo hamare mobile par aata hai. 2 Step Virification chalu karne ke liye yaha click karke Google ki site par jaye.

Kisi or ko Admin Na banaye:

Ham apne Blogger Blog me ek se jada logo ko add kar sakte hai jo hamare blog ko manage kar sakte hai, Post kar sakte hai or bhi bhut kuch.. To agar aapko kisi ko sirf Post ke liye add karna hai to jo sirf post kare to usko sirf Author add kare.. Admin sirf jab banaye jab aapko uspar pura bharosa ho. Admin ka matlam malik.

Password kisi ko na bataye: Is Point me aap soch sakte ho ki ye kya tip hai, ham apna password q kisi ko batayege.. par fir bhi me kha du agar aap kisi phecha ke dost ko bhi bataye to uske baad password change jarur karle. GMail ka Password Change karke ke liye yaha click kare

Jane: Secure Password kesa banaye

Crack Template use naa kare: 

Ye Galti lagbhag sabhi New Blogger karte hai, mene bhi ki thi.. Koi Template jo Paise me Mil raha ho kisi site par wo hi template koi dusri site wala usko crack karke download karba raha hai.. or ham wo cracked template apne blog me add karke bade khus hote hai ki dekho mene itne paise ka free me le liya par asliyat alag hoti hai.. aap ye socho ki jo chij paise me mil rahi hai wo hi chij koi free me dega to usko kya milega.. usko bhi koi faida hoga jab hi to wo aesa karega.. or crack template me wo kuch virus ki file bhi add kar dete hai jisse hota ye hai ki jo bhi hamare blog par aata hai uske browser me automatic virus download ho jata hai or uska paisa free template dene wale ke pass jata hai.. To simple me aapse bas itna hi kahuga ki template kisi reported site se hi download kare or crack to bilkul use na kare..agar koi template pasand aa raha ho to usko kharid kar apni site par invest kare or ussi site se uske paise kamaye

Read: Template kaise Upload karte hai Blog me

Widget ka diyan se use:

Ham Blogger me Widget add karke apne blog ko design karte hai ye to aapko pata hi hoga.. par agar aap koi widget kisi farji site se add karege to ho sakta hai usme koi galat chij bhi add ho jaye to iska bhi diyan rakhna hai. Agar site me kuch problem aane lage to turant uska karan dekhe or widget ki baja se hai to usko hatade. Mene Jo Widget Share kiya hai wo aap yaha dekh sakte hai

Hamesa Account Logout kare: 

Is Point ko me thoda change karna chahuga, agar aapki kisi aese computer me login kare jisko dusre log bhi use karte hai to logout jarur kare.. Q Logout kare ye batane ki jarurat nahi hai.

Net Cafe se Savdhan: 

ye mera personal exprience hai phele jab mere pass computer nahi tha to me net cafe se apne blog ko chalata tha, har roj mere liye us cafe par ek computer book rhata tha.. par ek bar muje aesi chij mili jisne muje hila kar rakh diya, uske computer me Key Logger install tha jisme ham jo bhi type karte hai wo save ho jata hai. Khar usne mera koi nuksan nahi kiya par agar wo chata to kuch bhi kar sakta tha.. to is chijo se bhi savdhan rahe.

Apni Site me Virus Check kare:

Agar aapne bhut ki chije apni site par dali hai to ho sakta ho galti se koi aesi chij add ho gai ho jo hamare blog or hamare visitor ke liye achi naa ho to aap uske liye in site ka use kar sakte hai.

www.virustotal.comsitecheck.sucuri.net

in site par apne site ka address dal kar check kare, or agar koi problem ho to usko jald se jald solv kare.. Iske karan hamari site Google me block bhi ho sakti hai.

Is Trha Aap apne blogger ke blog ko secure kar sakte hai or agar aapke pass koi or tip hai jisse ham apne blog ki security ko or bada sakte hai to aap mujse jarur share kare. Or aapko ye jankari kesi lagi comment karke jarur bataye.

Blogger ki or jankari ke liyewww.Hindi.Help/BLogger par jaye. Happy Blogging

Ye Post bhi Pade:

Blog ko Google Search Console me add kareSEO Friendly Post kaise Likhe jo Search me aasani se aayeBlog ki Traffic kaise badai jaye uski jankari

The post Tips Blogger Blog ki Security Badane ke liye appeared first on Hindi Me Help.

Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com

Visit website

Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
MOD ONLY
admin
25 December 2019 at 02:49 ×

Really Great work love you BroBlogging Tips,Blogger,Wordpress,TipsTrick!

Congrats bro MOD ONLY you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar
Thanks for your comment