Youtube Par Video Upload Kaise Karte Hai

Youtube Par Video Upload Kaise Karte Hai

Social Network – Hindi Me Help / Rohit Mewada /1 year ago

Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!

Youtube ek bhut hi Saral or free tarika hai online ache paise kamaneka ham ye to jaante hai. or hamne phele ye bhi jaan liya tha ki youtube se payse kis tarike se kamate hai. Bhut se mere dost youtube se paise to kamana chate hai par unko ye pata nahi hota ki youtube par apne video ko kaise upload karte hai, to Aaj ham jaanege, Video ko Youtube par kaise Upload karte hai.

Kaise Video Dale(Upload) kare

Muje step by step follow karo. kahi par kuch paresani aate hai to comment karo.

Step 1:

Computer me Youtube Account me login karo. (*Mobile me upload karne ka alag tarika hai. agar aap bo janna chate hai to hame comment ke jariye bataye.)

Step 2:

Login karne ke baad Jo upar upload ki button hai us par click karo

Step 3:

Upload par click karne ke baat ek naya page khulega. aapko yaha par apna video ko daalna hai.

 Apne Video ko aap yaha par click karke apne computer se select kare fir video upload hona start ho jayega.Agar aap ka koi video Google+ par hai to usko aap direct youtube par daal sakte hai.Direct apne webcam se record karke aap youtube par daalsakte haiAgar aap apni Images ka slid show video banana chate hai to yaha par click karke apna photo select kare. Is ke baare me or jaankari aapko baad me duga.Google+ se video chat karte huee aap apni live video youtube par daal sakte haiAapne jo video phele se upload kar rakhe hai usko yaha par jaa kar edit kar sakte hai. kaise edit karte hai ye me aapko baadme bataoga.

*Aap video ko apne computer mouse se pakad kar Upload ki screen par laa kar chod de. Video upload hona start ho jayega.

Step 4:

Jaese hi aapka video upload hona start hoga ek naya page khulega. diyaan rahe jab tak aapka video pura upload nahi ho jata aapko ye page band nahi karna hai.

 Aapka video kitne percent upload huaa bo yaha dikhta haiAap ko yaha apne video ka tital daalne hai. (Video Ka Naam)Video ke baare me likhna hai – Video me kya hai or bo kis baare me hai.yaha par tag dalne hote hai jin topic par aapka video hai bo.Jab aapka video upload ho jaayega to yaha par aapke video me se 3 image aa jayegi. unme se aap ek select karlo. ye image video ke start hone se phele dikhti hai. yaha par ham apni khud ki banai Thumnail (image) bhi upload kar sakte hai.yaha par aap set kar sakte hai ki is video ko kon kon dekh sake. Agar aap chate hai ki puri duniya aapke video ko dekhe to Public karde.yaha se aap direct is video ko Google+ or Twitter par share kar sakte ho.yaha par aap playlist bana sakte ho. Playlist matlab bhut se video ek hi topic par to aap unka ek playlist(group) bana sakte ho.Jab aap apne video ki detail bharde or video pura upload ho jaaye phir Publish ki button par click karde. aapka Video ab Youtube par Upload ho chuka hai.Apne upload kiye huye video ko dekhne ke liye yaha click kareAgar aap or video upload karna chate hai ek sath to yaha par click kare

Dosto hamne ye to jaan liya ki video upload kaise karte hai. chaliye ab jaante hai ki video upload karne ke baad paise kamana start kaise karte hai youtube se.

Youtube ki or bhi bhutsi jaankari ke liye hame follow jarur kare Facebook,Twitter Google+ or Youtube par.

Agar aapka koi sabaal/dout ho to aap comment ke jariye puch sakte ho.

Aapko ye jaankari kesi lagi ye jarur bataye.

The post Youtube Par Video Upload Kaise Karte Hai appeared first on Hindi Me Help.

Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com

Visit website

Previous
Next Post »
Thanks for your comment