Google Search Console Par account banakar Blog ko Kaise add kare
Blogger – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 9 months ago
Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!
Hello Friends Aaj ham is post me dekhege kaise ham apne blog ki search ranking bada sakte hai Google Search me. Ham badi mhanat karke apni Post ko likhte hai par wo Google ke search me nahi aati to hame bhut nirasa hoti hai q ki hame hamari mhanat ka koi inaam nahi milta (visitor nahi aate).
Jese ki aap jaante hi hoge Google duniya ka sanse bada search Engine hai or agar kisi ko koi jaankari search karna hota hai to wo Google me hi karta hai, To hamare liye ye bhut jaruri hai ki hamari Likhi hui Post bhi search me aaye. Uske liye hame Google Search Console me apna account banana padega or fir usme apne Blog or Website ko usme add karke verify karna padega.
Google Search Console ko hi pheleGoogle Webmaster Tool khate the abhi uska naam badla gaya hai.
Google Search Console me Account Banaye
Account banane me koi dikkat nahi hai Q ki ye bhi Google ki hi Service hai to jo hamari Gmail ki ID hai hame simple usse login karne hai.
????Agar aapka Email Account nahi hai Gmail par to phele bo banaiye
Account Banane ke liye sabse phele Google Search Console ki site par jaye
Sign in to Search Console par click kare fir apne Gmail ID se login kare
Ab aap Login to ho gaye hai.
Google Search Console me Website/Blog kaise Add kare
Blog ko Add karne ke liye apne Blog ya website jo bhi hai uska Address dale firAdd Property ki button par click kare
Ab ek naya page khulega usme aapko apne blog ko verify karna hai. Aap koi bhi tarike se kar sakte ho.
Alternate menthods par click kare.HTML tag select kare fir code koCopy kare.Ab aapko ye code apne Blogger ke template me add karna hai. add karne ke baad Verify ki button par click kare
Blogger template me Code ko Add kare
Apne Blogger me login karne ke baadTemplate ke section me jaa karTemplate ko Edit kare.
Ab Apne Template me <head> code ko search kare. Tip: Ctrl+F daba kar kar sakte ho.
<head> ke niche apne Google Search Console ke code ko dale fir Template ko save karde. uske baad Apne Code ko Verify kare Console me.
Verify hone ke baad aesa message aayega
Ab Search Console ke home page par jaye to aap dekhege ki aapka Blog add ho gaya hai. Agar aapke or bhi blog hai to aap unko bhi add kar sakte ho Add A Property ki button par click karke kar sakte hai.
To ab aap ye jaan chuke ho kaise Google Search Console me apne Blog ko Add kiya jata hai.
Kya Kya Faide hai Google Search Console ke
Agar hamari Site par koi Error hoti hai jiski baja se hamari site search me nahi aa rahi hai to uska pata chal jata hai.Search me jaldi aane lagti hai hamari site.Visitor kya search karte hai Google me to hamari site par aate hai uska pata chal jata hai.Agar Google kuch Update karti hai apne search karne ke tarike me to hame message aata hai ki ham uske liye kya kare jo hamari site search me aaye.Iski madad se agar ham chahe ki hamari koi ek post search me naa aaye to ham wo bhi kar sakte hai.
Inke aalawa bhi bhut faide hai, Simple saabdo me kahu to ye bhut jaruri hai hamare Blog SEO ke liye…
Google Search Console me Apne Blog ko Add karne ke baad apne Blog ka Site Map bhi usme add karna but jaruri hai uski jaankari me aapko meri dusri post me duka.
Blogger ki or adhik jaankar ke liye yaha click kare
Hamesa ki trha agar aapko koi bhi dikkat aati hai ya fir koi sabaal hai to aap comment karke puch sakte hai.
The post Google Search Console Par account banakar Blog ko Kaise add kareappeared first on Hindi Me Help.
Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com
ConversionConversion EmoticonEmoticon