Blogspot Blog ki HTTPS Chalu karke Security badaye
Blogger – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 6 months ago
Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!
Hello Bloggers, Agar aapka Blog Google ke free platform par hai to aapke liye ek khus khabri hai, Blogger.com ne abhi HTTPS ki setting di hai Blogspot blog ke liye jinki madad se ham apne blog ko secure kar sakte hai.
Image Source: threatpost
HTTP ki jagha HTTPS use karne ka kya faida hai
Simple sabdo me kahu to isse site ki security me ek or layer ban jati hai or apni site or jada secure ho jati hai apne blog ke visitor ke liye. ye kuch faide hai HTTPS use karne ke
Isse hame check karne me madad milti hai ki hamare visitor ke pass sahi website khul rahi hai, nahi to kya hota hai ki hamari website ki kuch virus aane ki baja se dusri website par redirect ho jata hai.Agar koi hamari site ko hack karke uska data badalne ki kosis karta hai blogger par apne visitor ko dikhane ke liye to hame pata chal jata hai.HTTPS ki madad se dusre logo ko khatin padta hai hamare blog ke visitor ko track karne me or uski information nikalne me.
Or jankar ke liye Google par pade.Simple sabdo me sirf ye khana chahuga, Agar aapka Blog Blogspot domain se hai to isko jarur activate kare.. isko koi bhi nuksan nahi hai, faida jarur hai
Agar aap HTTP hi use karte hai to koi Hacker agar aapki site ko hack karke uska data badal sakta hai, or jo hamare blog par visitor aayege uski jankari bhi chura sakta hai.. jese maanlo agar woemail se subscribe karne ke liye form bhara to hamari site se subscribe karne kija wo kisi dusri site se subscribe ko jayega..
????Facebook Account ki Security Kais badaye
HTTPS kaise On Kare Blogspot Blog me
YE bhut hi Simple Process hai, bas hame HTTPS ke option ko on karna hai blogger ki setting me.. Chaliye dekhte hai kaise.
Step 1: Blogger.com me Login kare.
Step 2: Apne Blog ke dashboard me Jaye fir uski Setting me jaye.
Step 3: Settings >> Basic >> HTTPS settings par jaye. Fir HTTPS Avilabilityko Yes select kare.
HTTPS avilability ko Yes karne ke baad aapka blog ka jo address kesa khulega
Kabhi bhi aap chaho to isko band kar sakte to setting me ja kar.
Note: ye ji HTTPS ka future hai wo sirf free blogspot address ke liye hai, agar aapne apne blog me coustom domain add kiya hai to aap yaha se isko on nahi kar sakte.
Ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi or agar isse sambandit koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.
Blogger ki or jankari ke liyewww.HMH.pe/Blogger par jaye
Ye Post bhi pade:
Blogger blog ka Template kaise Change kareBlog me Contact Form kaise Add kareBlogger Post Editor ki Puri JankariBlog me SEO Friendly Image kaise banaye, jo Search me aaye
The post Blogspot Blog ki HTTPS Chalu karke Security badaye appeared first onHindi Me Help.
Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com
ConversionConversion EmoticonEmoticon