Blogger ki har Post Me Search Description Enable Kare
Blogger – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 9 months ago
Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!
Is tutorial me me aapko banaoga ki ham apne blog ke har post me description kaise add kate hai. Hamare Blog ko Google me laane ke liye Meta Tags to add kiya tha par usme hamari har post ke liye alag alag description add nahi hota hai.
Description add karne se hamari post ki rank badti hai or agar ham description add nahi karte to jo hamari post ke phele 150 sabd hote hai bo search me dikhte hai.
Search Description kya hai
Ye hamari Blog or Post ke bare me jaankari hoti hai, jisme ham 150 sabd me us pure page ke bare me batate hai ki isme kya hai. Jo Description hai wo search results me dikhta hai orfacebook, twitter par share karne par bhi dikhta hai. ye isliye important hai q ki visitor issi ko padne ke baad hamari site par aata hai. Ye 150 sabdo ke andar hona chaiye q ki sirf 150 sabd hi dikhte hai.
Tip: Jis bare me Aapki Post hai ussi ka chota description likhe, Post ko 150 sabd me hi samjane ki kosis kare.
Kaise Enable kare Meta Tags Description
Sabse phele Aapko Apne Blog ke Home page ka search Description ko enable karna padaga. Fir aap Har ek post me Description add kar sakoge.
1. Blogger ke Deshboard me jao, Setting>> Search Preference me jaye.
2. Meta Tag, edit par click kare.
3. Ab Yes select karke Apne Blog ke bare me ek chota description likhe, ki aapka Blog kis topic par hai or usme kya kya hai. 150 sabd se jada nahi hona chaiye.
4. Last me SaveChanges par click kare.
Ab aapke blog ka description ko likhene ke baad…
Post Me Kaise Add kare Search Description
Post me description add karne ke liye Post ko editor me khole. Aap usme side me dekhege ek Search Description ka option hai. usme aap apni post ke bare me 150 sabd likhe.
Search Description Box Agar nahi hai
Agar aapke Post editor ke bagal me Search Description box nahi dikh raha iska matlab aap koi dursa template usekarte ho. Uske liye aap simple ek Code add kare template.
1. Blogger Deshboard >> Template >>Edit Template
2. Ab Apne Template me Ctrl+F daba kar <head> search kare or uske niche ye code dale.
<b:if cond='data:blog.metaDescription != ""'> <meta expr:content='data:blog.metaDescription' name='description'/> </b:if>
3. Template Save karde
Search Description Q Jaruri hai
Ye jo Search Deacription hai hamari post ka isse ye faida hai ki jab bhi koi search karega search engine me to usko Hamari Post ka Title or ye Search Description hi dikhta hai. To Agar aapne 3 line me bata diya ki is post me kya hai to aapki blog ki traffic me jarur badotri hogi.
Blogger se related sari Post yaha Pade
Ummid hai ye jaankari aapki Help jarur karegi aapke blog ki raffic badane me. Agar aapka Blogger se related koi bhi sabal hai to aap mujse puch sakte ho.
Internet se related Sabal HMH Forum me post kare.
The post Blogger ki har Post Me Search Description Enable Kare appeared first on Hindi Me Help.
Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com
2 comments
Click here for commentsSEO 2019 Whatsapp Group Click Here
ReplyThanks for the tips guys. They were all great. I have been having issues with being fat both mentally and physically. Thanks to you guys I have been showing improvements. Do post more.Best Website Development Company in Kanpur
ReplyConversionConversion EmoticonEmoticon