Domain Register Kaise Karte Hai Website Ke Liye

Domain Register Kaise Karte Hai Website Ke Liye

Important Website – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 11 months ago

Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!

Dosto mene phele aapko bataya tha ki ham kaise apna free blog bana sakte hai. Par agar aapko apne blog ko website me convet karna hai to hame sabse phele ek acha sa domain register karna padta hai.

Domain Register karne ke liye hame kisi domain selling website se domain ko lena padega. Online aapko Bhut se domain selling website mil jayegi. unme se ek jiska naam sayad aapne suna hoga GoDaddy. me aapko bataoga kaise ham godaddy se domain ko kharid sakte hai. Aap kisi bhi site se domain register karo lagbhag same hi process rahegi.

Domain Kharidne ke phele ye jarur pade, Kaise Badiya Domain Name select kare apni site ke liye. jo aasani se search me aaye uski puri jaankari. jarur pade.

Domain ko kaise kharide

Domains ko kharidne ke liye aap meri Steps ko follow karo

Step 1

GoDaddy ki Site par jao.

Agar aapk aapka phele se account hai to apna user name or password daal kar Sign in karoAgar GoDaddy par account nahi hai to Create My Account ki button par click karke account banao.

Step 2

GoDaddy par account banane ke liye is form ko bharo. Agar phele se account hai to is step ko rhene do.

Apna email address daloAccount ke liye ek username dalo. kamsekam 5-30 sabdo ka hona chaiye. iski madad se aap dubara godaddy ke account me login kar payege.Password set karo apne godaddy account ke liye. Password kam se kam 9 sabdo ka hona chaiye or usme Capital latter or number bhi hona chaiye. password ke suru me or akhri me space nahi hona chaiye.char number ki pin set karna hai. koi bhi 4 number dalo isko yaadbhi rakhna hai.

In sabhi details ko yaad rakhna hai ya fir kahi par likh kar rakh lo.

Ab aapka GoDaddy par account to ban chuka hai.

Step 3

Ab GoDaddy me Login hone ke baad aapko website ke liye naam search karna hai. uske liye aapko godaddy ki site par aasani se search box dikh jayega.

Aapko jo Naam register karna ho usko search karo. Agar kisi ne phele se domain ko kharid rakha hai to aap usko nahi kharid sakte.

???? Domain ki jo kimat hai bo alag alag ho sakti hai. Abhi ek offer chal raha hai isliye 99 rs me ek saal ke liye mil raha hai. nahi to iski kimat lagbhag 600rs hoti hai.

????99 Rs me Domain ko ek saal ke liye register karne ke liye yaha click kare.

Step 4

Jab aapko aapke pasand ka naam mil jaye

Badiya Naam milne ke baad aap uska price jarur dekhle or ek baar spelling sahi se check karle.

uske baad Continue To Cart ki Button par click kare.

Step 5

Ab aapke saamne ek new window khulegi usme aapse or bhi bhut kuch lene ke liye kaha jayega. Hosting, Email bagera. aap inko rhene de or last meContinue to Cart ki button par click kare.

Step 6

Ab jo naya page khula hai usme aap ka domainname or uski jaankari hogi.

Sabse phele aap kitne saal ke liye register karna chate ho bo select karo. uske hisaab se paise lagege.ab total kinta price huaa bo dekhleLast me Proceed to Checkout>  kibutton par click kare.

Step 7

Apni puri jaankari bhareAap payment kis method se karege bo select kare. Netbanking ya Debit Card jo bhi ho.Continue > ki button par click kare

Step 8

Apni Detail ek baar check karle jo aapne apne baare me di hai.Aapke liye huee domain ko ek baar achi se dekhleTotal kitne paise pay karna hai bo dekhleJo sabd diya huee hai unko type karoI agree to the following par ✔tik kare.Place your Order > ki button par click kare.

Step 9

apni contact detail bharni haiPayment method select karke, uski detail bharni haiMake Payment ki button par click kare

Step 10

Ab aap ek dusri website par phuch jayege jis ki aapne payment method select kiya hai.

ye aap mera screen shot dekh sakte ho. mene PNB ke debit card se payment kar raha hu.

Payment karne ke baad aap bapas Godaddy ki site par aa jayege.

????Ab aapka Website ka Naam Register ho chuka hai.????????????

Apne Domain ko dekhne ke liye

Upar  Menu me Domains par click karefir Manage My Domains par click kare

Ab aapke saamne aapke pure website ki list aa jayegi jo aapne kharide hai.

To friends ab aapne sikh liya hai kaise ham domain ko kharid sakte hai.

Ab Domain to Register kar liya chaliye ab jaante hai kaise ham apne Domain ko Blogger se add kare

Aapko ye jaankari kesi lagi comment karke batana na bhule. or agar aapka koi sabaal❓ho to usko bhi comment karke aap mujse puch sakte ho.

Friends ek baat or jo me aap logo se share karna chahuga bo ye ki aaj hi ka din(27 may) tha jab me is khubsurat duniya me aaya tha ????.

The post Domain Register Kaise Karte Hai Website Ke Liye appeared first onHindi Me Help.

Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com

Visit website

Previous
Next Post »
Thanks for your comment