Content Ko Viral Kaise Kare? Hajaro Traffic Lane Ka Tarika [Infographic]

Content Ko Viral Kaise Kare? Hajaro Traffic Lane Ka Tarika [Infographic]

Blogging – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 4 months ago

Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!

Viral ka means hota hai felna, aur content apka blog ka post hi hota hai.

Viral content se aap apne blog par kafitraffic laa sakte hai, viral content ko bhi likhne ke kuch techniques hoti hai jiski wajah se wo viral hota hai ya jiski wajah se wo aage felta hai.

Ab sawal yah hai ki felta kaise hai?

Obviously hai social media me hi viral hoga, lekin uske ke liye apka content bhi esa hona chahiye ki jyada se jyada user apke content ko apne social networkprofile par share kare ya aur bhi dusre tarike se apne relative tak pahuchaye.

To yah SEO ke liye kaise profitable hai?

Chalo viral content ke bare me discuss kare usse pahle me apko yah samjha deta hu ki yah SEO ke liye kaise achaa hai?

How This is Better for SEO?

Yah content apko 100% tabhi samjhna aa sakta hai jab apne mera previous content On-Page SEO optimization par padha hai.

Nahi padha hai to yaha click karke padh le then again is post ko yaha se padhna shuru kare.

Chalo On-page SEO optimization ko thik se samjhne ke bad ata hai ab content ko User ke liye kese banaye?

Yani On-page SEOoptimization wale post me hamne sikha ta ki Google me rank hone layak ya kah sakte hai search engine ke liye content kese likhe?

Is post me janege ki user ke liye content kaise likhe taki wo viral ho?

To isme SEO me kya profit hai?

Wait, mujhe ek-ek step ko thik se samjhene do, pahle is chij ko dhyan se samjho maine On-page SEO optimization wale content me bataya tha ki Social Share Google ranking ke liye better, right?

To isi tarah viral content likhne se apke content par high social share hoge.

High social share = High ranking on Google.

To kya Viral content se [kewal] Social Share badhate hai?

No..!!

Kyonki social share se to apka content viral ho raha hai, wo ek rasta hai viral hone ka na ki End…

Jitna user friendly content hoga viral hone ki wajah se us par comment aayegi.

aur visitor comment karne se bhi kuch time apke blog par time spend karta hai, jo apke blog ka time on pagebadhata hai

Aur sath me ek aur bat, visitor ke comment karne se apka visitor ke sath relation badhta hai. Jisase chances are very high wo dubara apke blog par aega.

Yani har tarah se Viral content SEO ke liye better hai.

Viral Content kaise likhe?

Viral content kyon kare? yah janane ke bad aata hai kaise kare?

Is chij ko aur bhi dhyan se aur bhi achhe aur better tarike se samjhne ke liye maine ek infographic design kiya hai, Jisko Aap Image ki trha Save karke rahe sakte ho or share bhi kar sakte ho.

What is infographic? Infographic, yaani ek graph jaha par information hoti hai, yani ek image me ek kisi perticular topic par discuss hota hai.

Yah infographic HindiMeHelp par first infographic hai, ek bar Comment karke yah jarur bataye ki infographic se information ko show karne ke tarike apko kesa laga?

Taki ham next infographic isse bhi better design karne ki kosis kare. Aur comment se yah bhi bataye ki aap kab apna viral content likh rhe hai? ise practically kab kar rahe hai?

Ye bhi pade:

Backlink Kya hoti hai or kya faida hai inka.SEO Friendly Title kaise likhte haiNew Post ko Promote karne ke 15 tarike.

The post Content Ko Viral Kaise Kare? Hajaro Traffic Lane Ka Tarika [Infographic] appeared first on Hindi Me Help.

Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com

Visit website

Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
24 March 2021 at 23:31 ×

aapki jaankari bahut achhi hai aur aasan bhasa mai aapne viral marketing ko btaya hai thank you, read: On page seo hindi

Congrats bro Hrithik Choudhary you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar
Thanks for your comment