Facebook Group kya hai, Facebook Group kaise banate hai

Facebook Group kya hai, Facebook Group kaise banate hai

Social Network – Hindi Me Help / Rohit Mewada /8 months ago

Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!

Facebook sabse jada use hone wali social Networking or me phele bata chuka hu kaise Facebook par account banate hai or kaise Facebook Par Page banate hai.. inke aalawa bhi me bhut si tips share ki hai jo aap yaha dekh sakte hai.

Aaj Ham dekhege Facebook Par Group Kaise banate hai or Group se sambandit kuch bate bhi janege, to chaliye

Facebook Group Kya Hai ?

Facebook Group ek Page hi hota hai, jisme log join ho kar ek community banate hai.. bha par Group ke har member Post kar sakte hai. Kisi topic kar discussion kar sakte hai. Group me jin logo ka ek jesa interest hai wo join kar sakte hai. Group me Page se jo sabse alag hai wo ye ki isme group ka koi bhi member post kar sakta hai.

Ye Kuch Topics hai jinpar ham Facebook Group Bana sakte hai

Kisi bhi Topic Par Bana sakte hai.Books ke liye bana sakte hai, jisme uske bare me baat kar sate hai.Business ke liye bana sakte haiApne Local Area ke liye bana sakte haiHelp ke liye bana sakte hai, jaha sab ek dusre ki help kar sake

inke aalawa bhi koi bhi topic ho, aap uske liye group bana sakte hai.. Muje ummid hai aapbhi jarur kisi na kisi Group me add hoga, ya kisi ne aapko add kiya hoga.

Facebook Open, Close, Secret Group me Anter

 

Open

Closed

Secret

Kon join kr sakta hai?

Koi bhi Join kae sakta hai, group ka koi bhi member add kar sakta hai
kisi ko bhi

Koi bhi join karne ke liye kha sakta hai. Koi bhi add kar sakta hai
jo group me hai

Koi bhi join ho sakta hai. Par sirf jab koi usko add kare

Group ka naam kon dekh sakta hai.

Koi bhi

Koi bhi

Sirf Group ke member

Group ki post kon dekh sakta hai.

Koi bhi

Sirf Group Member

Sirf Group Member

Group ko Search kar sate hai.

Koi bhi

Koi bhi

Sirf Group Member

Group me chal rahi halchal kon dekh
sakta hai. (Likes, Posts apne Home page par)

Koi Bhi

Koi Bhi

Sirf Group Member

Facebook Page or Facebook Group Me Kya Antar hai

Facebook Page kisi famus chij ke liye hota hai, jisko log follow karte hai, jabki Facebook Group me sabhi log Post kar sakte hai or kisi topic par discuss kar sakte hai.Page ko Privte nahi bana sakte, uski jo post hai wo sab dekh sakte hai, jabki Facebook Group ko ham Private bhi bana sakte hai.Page par jo Page ka Admin hai sirf wo hi post daal sakta hai, Group me jitne bhi join hai sab kar sakte hai.Agar koi Brand hai to uske liye Page banaya jada hai, Par agar kisi tipoc ke bare me baat karni ho to uske liye Group badiya hai.

Facebook Group Kaise Banaye

Group Kaise banaye uske liye aap muje follow kare step by step

Step 1: Facebook me login kare

Step 2: Ab aap Home Page me aa jayege, ????Ulte haath side aap dekhege ki Groups ka option diya hai.

Aap kis-kis Group me add hai wo dekhne ke liye more par click kare

Step 3: Ab aapke samne Groups ki Listaa jayegi jo aapne banaye hai ya fir aap unme add hai.

Apna Group Banane ke liye +Create Group ki button par click kare.

Step 4: Ab ek Popup Window Khulegi

Apne Group ka naam dale jo aap banana chate hai.Members me apne Friends ko add kare. (abhi kam se kam ek ko add karna jaruri hai.)Agar Group ko Favirate me add karna hai to ✔tik karde.Privecy me aap kesa Group Chate hai usko Select kare. Open, Closed ya Secret Group kya antar hai yaha dekhe.Last me Create Ki button par click kare.

Step 5: ab Icon ke liye option aayege

Apne Group ke liye icon select kare.Ok ki Button par click kare

Ab aapka Group Ban chuka hai, Agar isse sambandit agar aapka koi or sabal hai to aap puch sakte hai.

Facebook Group Delete kaise kare

Ek Baat ka diyaa rakhe Group ko Delete karne ka koi option nahi hai facebook par, Agar aapne koi Group Banaya hai or aap usko Delete karna chate hai to aapko Phele jinte bhi member hai unko remoe karna padega fir aap lat me khud ko remobe karle.. *Phele khud ko remove naa kare agar aap admin hai or khud ko remove kardiya to koi dusra admin ban jayega.

????Facebook Account Kaise Delete karte hai jaanne ke liye yaha click kare

????Hindi Me Help ke Group se Judne ke liye yaha Click kare

Facebook ke bare me or koi bhi jaankari chaiye to aap puch sakte hai.

Facebook Account kaise Hack kare ye sabal naa puche, isme me aapki koi help nahi kar sakta. Agar jaanna hai to 100 par call karke naam batao, wo aapko Password bata dege..
#DontTri

The post Facebook Group kya hai, Facebook Group kaise banate haiappeared first on Hindi Me Help.

Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com

Visit website

Previous
Next Post »
Thanks for your comment