Online Mobile Recharge Kaise Karte Hai
Important Website – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 1 year ago
Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!
Hello Friends aap ye to jaante hi hoge ki Internet ne aaj hamari jindigi kaha se kaha pahuchadi hai, ab hame kahi jane ki jarurat nahi ham apne ghar se hi puri duniya se jude rha sakte hai or apne saare kaam Internet ki madad se kar sakte hai. Aaj ham ek ussi kaam ki baat karege jo internet ne hamare liye bhut saral kar diya hai or hame kahi jaane ki bhi jarurat nahi hai. Internet se Mobile ko Recharge karna.
Mobile Recharge karne wali bhut si sites aap ko mil jayegi, jinki madad se aap ghar bhete ya apne mobile ki madad se kahi bhi apna mobile ya kisi or ka mobile recharge kar sakte hai. Muje jo sites pasand hai bo hai FreeCharge or PayTM
Online Mobile Recharge karne ke liye kya kya chaiye
Hame online mobile recharge karne ke liye in chijo ki jarurat padti hai –
Email ID, Bank Account ATM or Mobile Number.
Email ID – hame mobile recharge karne wali site par apna account banana padta hai uske liye ek email id hona jaruri hai.ATM – Jab ham online recharge karte hai kisi site se to hamare mobile recharge ke rupee hamare bank account se kat te hai, uske liye hamare pass Net Banking yaBank ATM hona chaiye. Jisse ham hamare recharge ki payment kar sake.Mobile Number – hamara ek Mobile number bhi hona chaiye Q ki iski jarurat hamare account me padti hai.
????Kya Aapko Pata hai Android Mobile me Ham Free Mobile Balance bhi kama sakte hai.
Online Mobile Recharge Kaise kare
jese ki mene bataya bhut si site hai online mobile recharge karne ke liye unme se ek FreeCharge. Me aapko bataoga ki Freecharge Website se kaise mobile recharge kare. Meri Steps ko follo karo.
Step 1:
www.FreeCharge.in par jao.
SIGN IN par click karo
Step 2:
ab agla page khulega usme agar aapka account phele se hai to aap login kar lijiye ya fir phele apna account bana lijiye.
Account banane ke liye SIGN UP par click kare or apni detail bharke apna account banaye.Agar aap ka Account nahi hai to aap SIGN Up kare, ya fir aapka Facebook ya Google+ ka account to hoga hi. aap unse bhi Login kar sakte hai or ye bhut aasaan bhi hai. Sign in with Facebook ki button par click kare fir bo Facebook par aapse ek permision magega usko allow karde or fir aap FreeCharge me Login ho jayege.Agar aapka account phele se hai to yaha par login kar sakte hai
Me aapko Suggest karuga ki aap Facebook se Sign in kare ye Jaldi bhi ho jayega or asaan bhi hai.
Step 3:
Apne FreeCharge ke account me login karne ke baad aapke saamne ek form hoga mobile resharge karne ke liye usme detail bharde
Mobile Number daale jispar recharge karna haiKonsi conpany ki SIM hai bo select karekitne rupee ka recharge karna hai bo daalePROCEED TO COUPONS ki button par click kare
Step 4:
Ab ek naya page khulega uspar aap dekhege ki kuch coupan giye huaa hai aap chahe to unko select kare ya firPROCEED ki button par click kare
Step 5:
Ab jo naya page khulega uspar aapko payment karni hai. yaha par payment ke bhut option diya hai. ham Debit Card ko select karte hai.
ATM Card ke Upar jo likha ho aap bo Card type me select karle.Card ke upar 16 digit ka numberhoga bo aapko yaha daalna haiExpire Date daale, bo bhi aapke ATM Card ke upar di hui hai.ATM Card ke piche ki taraf ek 3 digit ka number hota hai usko CVVnumber khate hai bo aap yaha daalde.Aapke Card ke upar Jiska Naam ho bo daalde. Bhutbaar hota hai ki uske upar kisika naam nahi hota to aap jiska account hai uska naam daalde.MAKE PAYMENT par click kare
ATM Card Ki Detail
ATM Card aage se 16 digit ka ATM Card NumberCard Expire DateCard Holder ka Naam. ho sakta hai aapke card me naa ho.Card ka Type jo is demo card meVISA hai
ATM Card piche se
Step 6:
Make Payment ki button par click karne par ek naya page khulega.
ye me apne PNB ke ATM card se kar raha hu isliye aesa aa raha hai ho sakta hai aap ka dusra ATM ho to alag tarike se aaye. ek baat or aapke Bank account me aapka mobile number jarur juda hona chaiye q ki jab ham payment karte hai to ek code aata hai hamare paas hame bo daalna padta hai jab payment hoti hai.
*Ek baat ka jarur diyaan rakhe kabhi bhi aap online payment kare to phele site ko dekhle or apne card ki detail kisiko nahi bataye nahito bo aapke account ka koi galat istmaal kar sakta hai. Kabhi bhi Apna ATM pin kisi ko na bataye.
FreeCharge ka Anroid App bhi hai aap uspar aap pheli baar recharge karte ho to bo aapko 25rs extra bhi milte hai. Android App ko mobile me Download karne ke liye yaha click kare
to dosto ab aap jaan chuke hai online mobile ko kaise recharge karte hai to ab aapko Mobile recharge karbaneke liye kahi jaaneki jarurat nahi, aap kahise bhi apne mobile ko recharge kar sakte hai.
Agar aapko kahi kuch paresaani aa rahi hai Mobile ko recharge karne me to aap comment karke muje bata sakte hai. me aapki madad karne ki puri kosis karuga. or ye jarur bataye aapko ye jaankari kaise lagi.
Agar aapka Internet se related koi bhi sabaal hai to aap hamare Sabaal Jabaab section me puch sakte hai.
The post Online Mobile Recharge Kaise Karte Hai appeared first on Hindi Me Help.
Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com
ConversionConversion EmoticonEmoticon