Website Backlink kya hai or SEO ke liye kitni jaruri hai

Website Backlink kya hai or SEO ke liye kitni jaruri hai

Blogging – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 5 months ago

Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!

Hi friends, Is post me main aapkobacklinks ke bare me puri jankaari dene ki koshish karunga ki backlinks kya hote hai aur inki kya importance h. Aap SEO se to vaqif hi honge, agar aap apne blog ko search results me first page par lana chahte hai to aapko apne blog ka SEO karna bahut hi jaruri hai.

SEO mukhyt do prkar se kiya jata hai –

On page SEOOff page SEO

On page SEO me ve sabhi chijen aati hai joki aap apni blog post likhte vaqt apply karte hai, On page SEO acchi prkar se karne ke liye aapko ek SEO optimized article/post likhni hoti hai.

Read: Post ka Title SEO Friendly Likhne tarike

Read: Post SEO Friendly Likhne ke 5 tips

Off page SEO me ve sabhi chijen aati hai joki aap apne blog ke bahr apply karte hai. Inmen sabse important hote hai- Link Building aur Social Media presence. Social Media presence me aapko apne blog ko social media par promote karna hota hai aur Link Building me aapko apne blog ke liye Backlinks bnane hote hai. Jitne jyada aapki site/blog ke backlinks honge aapki site search results me utni hi higher rank prapt karti hai.

Read: Facebook se apne BLog par traffic badaye

Ab jyada der n karte hue main aapko backlinks ke bare me btata hoon. To fir aaiye jante hai ki backlinks kya hote hai aur ye aapke blog/Website ke liye kyon important hai

Backlink kya hote hai?

main aapko bilkul simple tarike se btane ki koshish karta hoon. Backlinks veh link hote hai joki ek website kisi dusri website se prapt karti hai. Jaise ki maan lete hai agar main aapki site ka link apni kisi post ya apne blog par add karta hoon to isse aapki site ko ek backlink prapt hota hai.

Backlinks ka kya fayda hota hai?

Backlinks aapke blog ke liye bahut jyada faydemand hote hai. Aapki site ke jitne jyada backlinks hote hai Google aapki site ko search results me utni hi jyada value deta hai. Lekin Google aapke blog ko value tabhi deta hai jab aapke blog ke backlinks quality (achhi) sites se honge.

Backlinks ke aur bhi bahut saare fayde hote hai jaise ki Search Engine aapki site ko jaldi index karne lagta hai, aapki site ko referral traffic milta hai, aapki site ki authority increase hoti hai.

Quality Backlink kya hote hai?

Quality Backlinks ve hote hai jo aapko quality sites se prapt hote hai. Jaise ki HindimeHelp ek quality site hai aur agar aapko Hindimehelp se backlink prapt hota hai to Google aapki site ko jyada value deta hai aur aapke blog ko search results me higher ranking prdan karta hai.

Quality backlinks bnane ke liye aapko relevancy ka bhi bahut dhyan rakhna padta hai mtlab ki agar aapka blog technology se related hai to aapko other technology related blogs se hi backlinks prapt karne honge, iske bjaye agar aap kisi food blog se backlinks prapt karte hai to Google aise backlinks ko jyada value nahi deta.

Backlinks kitne Prkar ke hote hai?

Backlinks do prkar ke hote hai-

Do-followNo-follow

Do-Follow Backlinks:

Do-Follow backlinks link juice pass karne me madad karte hai, yani ki aise links aapke blog ki ranking ko bdhane me kafi madadgaar hote hai. Dofollow links ka example:

“<a href=”http://www.google.com/”>Google</a>”

By default sabhi links Do-Follow hote hai, lekin agar aap chahte hai ki aap jo link dusri sites ko de rahe hai usse link juice pass n ho to aap link me No-Follow attribute add kar sakte hai.

No-Follow Backlinks:

Ye ve backlinks hote hai joki link pass karne ko allow nahi karte, inki search engine me value do-follow links ke mukable kam hoti hai. Search Engine Ranking me No-Follow Links ka role nahi hota hai. No-Follow backlink  ka example:

“<a href=”http://www.google.com/” rel=”nofollow”>Google</a>”

To agar kabhi aapki site par aesi site ki link add karne ka moka pade jispar kuch galat chij hai to aap usko No-Follow kar sakte hai.

Apni Site ke Backlink kaise Prapt karen?

Ab aap backlinks ki importance ko samajh gaye honge, isliye ab aapke man me ye question jarur aaya hoga ki backlinks bnane ki shuruaat kaise karen. apni site ke backlinks bnane ke liye aap in simple tarikon ka pryog kar sakte hai:

#1 Quality Content likhen:

agar aap apne blog ke liye jyada se jyada backlinks bnana chahte hai to iske liye aapko apne blog par quality content likhna hoga. Post bilkul simple bhasha me, to the point aur vistaar se honi chahiye. yani ki aapko aise articles likhne honge jise aapke readers asaani se samajh saken aur vah article unki mdd kar sake. High quality content likhne se other bloggers aapke article ke link ko apne readers ki help karne ke liye post me add kar sakte hai. Jese ye ek badiya article hai.

#2 Other Blogs par commenting shuru karen:

Backlinks bnane ka ye free aur easiest method hai, aapko bas ye karna hai ki apne niche ke other blogs par regularly commenting shuru karen. Jin blogs par commentluv enabled hota hai un par commenting karne se aapke blog ko do-follow backlink prapt hota hai joki aapke blog ke liye bahut jyada faydemand hota hai. Lekin jin blogs par commenting karne se aapko No-follow backlink prapt hota hai ve bhi aapke blog ke liye helpful hote hai. Halanki No-follow search results me jyada matter nahi karte lekin na hone se kuch hona bhi sahi hota hai.

Commenting karte vaqt ye dhyan rakhen ki aap spam comments n add karen isseaapka comment approve nahi hogahamesha comments me value add karne ki koshish karen. yani ki aise comments ko avoid karen- “Great post!” “Awesome post! keep it up” aadi. aise comments spam comments hote hai, inhen avoid karen. Post ko pade fir uspar apni rai de.. aese comment ache hote hai or usse aapko bhi kuch na kuch naya sikhne ko milega.

#3 Guest Blogging shuru karen:

Quality Backlinks bdhane me Guest Blogging bahut jyada prbhavi hoti hai. ismen aapko apne niche(topic) ke kuch popular blogs par apni guest postsubmit karni hai aur sath hi apne blog ka ek link add karna hai. lekin yaad rakhen ki Guest Blogging ke liye apne niche ke popular blogs ko hi chune aur ek badhiya high quality content vaali guest post likhkar submit karen.

Agar aapka Blog Internet se Related Topic par hai to Aap HMH.pe bhi Guest Post kar sakte hai. Or jankari ke liye yaha click kare.

#4 Apne Blog ko web directories me submit karen:

apne blog ko web directories me submit karna backlinks bnane ka ek badhiya method hai, iske liye apne blog ko vibhinn web directories me submit karen, lekin yaad rahe ki aap apne blog ko quality web directories me hi submit karen.

Backlinks bnate samay in baaton ka dhyan rakhen:

Backlinks aapki site ke liye kafi helpful ho sakte hai lekin agar aap galat tarikon ka pryog karke backlinks bnayenge to ye aapki site ke liye bahut jyada nuksaandayak ho sakte hai. Isliye apni site ke liye backlinks bante samay nimnlikhit baaton ka dhyan avshy rakhen:

Apni site ke liye kewal quality sites se hi backlinks prapt karne ki koshish karen.Kabhi bhi fiverr aadi sites se paid backlinks n khariden.Low quality sites jaise ki porn sites ya spaamy sites se backlink prapt karne ko avoid karen.Backlinks ki quantity se jyada quality matter karti hai.apne niche se alag blogs se backlinks prapt karne ko avoid karen.ek sath bahut saare backlinks n bnaye isse google ko shak ho sakta hai aur vo aapki site ko penalize kar sakta hai.

Conclusion:

Mere hisaab se ab aap backlinks ke baare me acchi trah se jaan gaye honge lekin agar aapka Backlinks se sambandhit koi bhi question hai to aap comment ke dwara puch sakte hai. Agar aapko post acchi lagi ho to ise social media par jarur share karen.

aisi hi aur bhi nayi posts ke updates paane ke liye hmara free email subscription len aur Facebook, Twitter, Google+ par hamen follow karen.

Post padhne ke liye aapka dhnywaad

Ye Bhi Pade:

Blogging Karne ke Faide jo Aapko Pata nahi haiGhar Bhate paise kamane ke tarikeyoutube Basic SEO Tips jo Video ke Views ke liye jaruri

The post Website Backlink kya hai or SEO ke liye kitni jaruri hai appeared first on Hindi Me Help.

Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com

Visit website

Previous
Next Post »

7 comments

Click here for comments
12 July 2019 at 20:00 ×

Wow such great and effective guide
Thank you so much for sharing this.
Thenku Again

Reply
avatar
Bipul
admin
24 July 2021 at 01:18 ×

Great content bro
looking for Backlinks

Reply
avatar
Beste Kasino
admin
8 February 2022 at 03:28 ×

Your articles and contents are buy edu backlinks
Nice to read this article will be very helpful in the future,

Reply
avatar
Anuj Kumar
admin
20 April 2022 at 12:51 ×

Thanks for your Guide !!!
We are Applying in our site.

Reply
avatar
Kate
admin
8 August 2022 at 02:58 ×

When compared to traditional marketing, a digital marketing strategy provides far more flexibility. Traditional marketing campaigns are difficult to change once they have been implemented. Making changes incurs additional costs. However, in digital marketing, a company's strategy can be easily changed. https://redleos.com/

For example, if a social media advertising strategy isn't working, a marketer can easily change the campaign and narrow the target group. This may assist them in obtaining more qualified results. This will not incur any additional costs for the company. A marketing strategy's flexibility is critical for a business because customers' needs and preferences change over time. Such shifts necessitate new strategies. As a result, digital marketing is ideal for such circumstances. https://seoactivators.com/ca/seo-services-calgary/

Reply
avatar
petersons
admin
4 March 2023 at 04:11 ×

According to State Department spokesperson Ned Price, an Israeli citizen who died in violence in the West Bank city of Jericho on Monday was also a US citizen.
Price told reporters, "We condemn the awful assassination of two Israeli brothers close to Nablus and the killing of one Israeli today close to Jericho, who we understand was also an American citizen.
https://timesofupdates.com
https://celebritiesage.com/
http://scoreinf.com/

Reply
avatar
Kate
admin
5 June 2023 at 03:40 ×

Executive office furniture is designed to be comfortable for long periods of use. This can help to improve productivity and reduce stress.
Style: Executive office furniture can add a touch of style and sophistication to any office. This can help to create a positive impression on clients and visitors.
Functionality: Executive office furniture is designed to be functional and efficient. This can help to improve the flow of work and make the office more organized.https://reddestin.com/collections/l-shape-sofa
https://reddestin.com/collections/office-chairs
https://reddestin.com/collections/executive-chair

Reply
avatar
Thanks for your comment