Ek Number Se 2 Facebook Account ko Open karne Par Purani ID kaise Login Kare

Ek Number Se 2 Facebook Account ko Open karne Par Purani ID kaise Login Kare

Social Network – Hindi Me Help / Rohit Mewada /5 months ago

Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!

Hello Friends, Ye Post Facebook ke New Users ke liye hai jinhone Facebook abhi abhi use karna siru kiya hai ya unko facebook ki jada jankari nahi hai.. Me Phele bhi kuch post share kar chuka hu facebook par jese Fb ID block q hoti hai or kaise bachaye blog hone se


Image Source: Lifehacker.com

Mere Pass bhut logo ke message, Comment ke jariye ye sabal aaya hai – hamne apne Mobile Number se apni facebook ID banai, fir ussi number se dusri facebook ID banali.. par ab ham jab ID or Password dalte hai to New ID open hoti hai par Purani ID kaise open kare..

Is Problem ka Solution jane uske phele ham jan lete hai facebook account banta kaise hai, or hamari kis galti ki baja se ye dikkat aati hai..

Facebook par account banane ke liye hame EMail ID Chaiye ya fir Mobile Number.

Ab bhut log Mobile number se apna account bana lete hai facebook par.. to ab jab bhi unko account open karna hai to wo apna mobile number or password daal kar apni ID open kar lete hai..

Ab Problem ye ho jati hai ki ussi mobile number se ek dusri ID banane par jo purani ID me number add hota hai wo remove ho jata hai, q ki ek hi number 2 id me add nahi kar sakte.. fir ham jab apna mobile number dalte hai or password dalte hai to purani ID nahi khulti q ki usme se wo number remove ho chuka hai or new banai gai ID hi open hoti hai..

is Problem se nipatne ke 2 tarike hai –

Apni ID ki username or passworddaal kar ID open kareApni ID me EMail ID bhi add karke rakhe.. (ye problem aane ke phele ka solution hai)

1 Number se 2 Facebook ID – Purani ID kaise open kare

Agar aapne ek Mobile number se koi Facebook ID banai or galti se ussi number se dusri ID banadi hai to jo phele fb ID hai usme se aapka number remove ho jayega.. Ab agar aap apna Mobile number or password dalege account ko open karne ke liye to aapka jo new facebook account hai sirf wo open hoga to ab purane account ko kaise open kare.. chaliye uski process jaan lete hai..

Step 1: Sabse phele aap apni purani Account ki Profile ko kisi bhi Browser me open kare (Login ki jarurat nahi hai)..

Step 2: Ab Browser ka jo address bar hai usme aapki profile ki link hogi.. kuch is Prakar –

jo aapki profile ki link hai wo 2 trha ki ho sakti hai  –

Agar username set kiya hai to kuch sabd rahege username mehttps://www.facebook.com/R.N.MewadaAgar username set nahi kiya hai to kuch number ka username rahega.100001348796048

jo ye example profile link hai isme jo username hai wo 100001348796048or R.N.Mewada hai. inko copy karle

Step 3: ab karna ye hai ki apna username or us id ka password dalna hai, ID ko open karne ke liye.. fir ID open ho jayegi.

Account open hone ke baad sabse phele Apna EMail Address or Mobile Number add kare account me.

EMail ID kaise add kare Facebook account me

Step 1: Apne Facebook me login karkesetting >> General >> Email par jaye. Image me dekhe kaha kaise jana hai ya fir yaha click karke direct bhi ja sakte hai.

Step 2: ab Add another email address or mobile ki link par click kare

jo popup khulega usme apna email ID dale fir Add ki button par click kare..

Step 3: ab Aapke Email Account par ek mail aayega facebook se.. usme jo link hai uspar click karke conform jarur karna hai..

Is trah Email ID add kar sakte hai Facebook account me.. ab agar aap number remove bhi kar dete hai fir bhi aap login kar sakte hai apne facebook account me apni email id or password ki madad se.

Agar aapko fir bhi kahi koi dikkat aa rahi hai to aap comment karke bata sakte hai, or aapko agar is jankari se help mili ho to Thanks khana na bhule

Facebook ki ye kuch or Jankari jo aapko pata hona chaiye –

Facebook par kisi ko BLock or UnBLock kaise karte haiFacebook Par Friends Request ko band kaise karte hai.Apne Friends ki list ko kaise chupayeApni Profile Photo kaise set kare

Facebook ki or jankari ke liye yaha click kare..

ye bhi pade:

Facebook ID block q hoti hai.FB account hack hone se kaise bachayeFacebook Page kaise banaye

The post Ek Number Se 2 Facebook Account ko Open karne Par Purani ID kaise Login Kare appeared first on Hindi Me Help.

Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com

Visit website

Previous
Next Post »

3 comments

Click here for comments
15 January 2018 at 09:05 ×

Sir mai apni purani fb id ka password bhul gaya hooooo

Reply
avatar
Unknown
admin
10 January 2019 at 19:39 ×

Hello sir me browser se username to dal RHA hu but me apna old I'd ka password bhi bhul gya hu.so vo old wali I'd open nhi ho rhi h bina password ke.

Reply
avatar
Unknown
admin
24 March 2019 at 13:44 ×

Sir nahi khol raha
Please reply

Reply
avatar
Thanks for your comment