Blogspot Country Specific Domain Redirect band kare
Blogger – Hindi Me Help / Rohit Mewada / 5 months ago
Hindi Me Help - Internet ki jankari Hindi Me!
Blogger jo ki ek best platforn hai blogging ke liye, jiske bare me mene bhut si post dali hai jo aapwww.HMH.pe/Blogger par dekh sakte hai.
Google ne kuch samay phele ek future add kiya tha blogger me ki jo blogger par blog hai unko jis country me khola jaye wo usko unke country ke speic domain par redirect kar deta hai.. jese agar Blog ko India me Khola jaye tohindimehelp.blogspot.in or pakistan me khola jaye to hindimehelp.blogspot.pk issi trha jis bhi country me blog open kiya jayega bha ka country specific domain khul jayega..
Google ne jo ye future add kiya hai isme blogger ka koi faida nahi hai sirf google ka faida hai ki wo aasani se blog ko track kar sake or jis country me chahe usko blog kar sake.. blog domain ka jo redirect hai wo Custom Domain me nahi hota.
Kya Asar padta hai Country Specific Domain par redirect hone se
Agar aapka blog blogger par hai to ye bate aapke liye jaruri hai, Country specific redirect hone se ye nuksan hai –
Hamari jo Blog ki Alexa Rank hai usme kami aati hai, Q ki Alexa kar country specific link ko alag calculate karega jo hamare liye bilkul acha nahi hai.Agar koi Post ko like, tweet karta hai to har country specific link ko alag calculate kiya jayega jo hamare liye acha nahi hai.Agar Blog par kisi dusre platform ka comment system use karte hai, jese Disqus ya facebook comment to usme bhi error aayegi or ham use nahi kar sakte.Agar hamari site ki link agar koi share karta hai or maanlo usne blogspot.com link se share kiya to hame uska koi faida nahi milega..Adsense ki earning me bhi asar padta hai.
ye kuch nuksan hai Country specific reditect hone ke blogger blog me.
Mera Strongly Suggestion hai ki aap Country Specific redirect ko abhi band kare or apne blog ki ranking badne me madad kare.
Blogspot.in ko Blogspot.com par Redirect kaise kare
Jo Country Specific Domain Redirect hai blog ka wo bhut si chijo ko effect karta hai par aap agar ussi ko use karna chate hai or kuch link ko redirect nahi karna chate to google ne uska solution bhi diya hai. Link ke last me ncr add karde, isse link redirect nahi hogi.. par agar aapko redirect hi nahi karna hai or blogspot.com me kholna hai to kuch code hai jo add karna padega.
Agar aap chate hai ki koi bhi aapke blog ko visit kare or aap country specific redirect naa ho to aap meri steps ko follow kare.
Step 1: Sabse Phele Blogger.com me apna account login kare.
Step 2: AB apne Blog ke Deshboard me jakar Template par jayefir Edit HTML ki button par click kare.
Step 3: Ab Ctrl+F daba kar<head> code search kare template me or uske niche ye code dale.
<script type="text/javascript"> var blog = document.location.href.toLowerCase(); if (!blog.match(/\.blogspot\.com/)) { blog = blog.replace(/\.blogspot\..*?\//, ".blogspot.com/ncr/"); window.location.replace(blog); } // Source: </script>
Code Credit: Labnol
Step 4: ab Simple apne template ko Save karde..
AB jab bhi koi aapka blog visit karega to aapke blog ka address country specific redirect nahi hoga.. Injoy
Aapko ye jankari kesi lagi or aapko isme agar koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai. Thanks
Happy Blogging…
Ye Post bhi pade:
Blogger me HTTPS enable kare Security ke liye250 se jada seo friendly blogger templateBlog ki security badaye or hack hone se bachaye.
The post Blogspot Country Specific Domain Redirect band kare appeared first on Hindi Me Help.
Rohit Mewada
rohit@hindimehelp.com
ConversionConversion EmoticonEmoticon